बुधवार, 4 फ़रवरी 2009

3 IPS ka Sthanantaran

rajya sarkar ne 3 IPS samet 98 DSP ki idhar se udhar kiya hai. patna purvi city SP ke pad par pahali bar adhikari ko tainat kiya gaya hai. is pad par nigarani DSP ko posting di gayi hai. patna me 6 naye DSP tainat kiye gaye hai. adisanal SP star ke 14 adhikariyon ko pronnati dekar SP banaya gaya hai. in tabadalon ko lok sabha chunav se jodkar dekha ja raha hai. adhisuchana ke anusar posting ki pratiksha kar rahe SP madai ram ko cid me SP kamjor varg banaya gaya hai. vidhut nigarani vibhag ke sp yogendra pasvan ko sahakarita me SP bahaya gaya.



aap bhi IPS & IAS se judi khabaren birendrayadarpatna@gmail.com ke pate par mail kar sakate hain.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें